hai kahīṅ par śhādmānī aur kahīṅ nāśhādiyāṇ
ātī haiṅ duniyā meṅ sukh-dukh kī sadā yūṇ āṇdhiyāṇ, āṇdhiyāṇ -2
hai kahīṅ par śhādmānī aur kahīṅ nāśhādiyāṇ
kyā rāz hai, kyā rāz hai
kyā rāz hai, kyā rāz hai
āj parvāne ko bhī apnī lagan par nāz hai, nāz hai
kyoṅ śhamā bechain hai, khāmośh hone ke liye -2
āṇsuoṅ kī kyā zarūrat -2
dil ko rone ke liye -2
tere dil kā sāz paglī -2
āj beāvāz hai -2
hai kahīṅ par śhādmānī aur kahīṅ nāśhādiyāṇ
ā
hai kahīṅ par śhādmānī aur kahīṅ nāśhādiyāṇ -2
ātī haiṅ duniyā meṅ sukh-dukh kī sadā yūṇ āṇdhiyāṇ, āṇdhiyāṇ
āīṅ aisī āṇdhiyāṇ
āīṅ aisī āṇdhiyāṇ, āṇdhiyāṇ
bujh gayā ghar kā chirāġh
dhul nahīṅ saktā kabhī jo paṛ gayā āṇchal meṅ dāġh -2
the jahāṇ armān
the jahāṇ armān us dil ko milī barbādiyāṇ, barbādiyāṇ
hai kahīṅ par śhādmānī aur kahīṅ nāśhādiyāṇ -2
ziṅdgī ke sabz dāman meṅ -2
kabhī phūloṅ ke bāġh
ziṅdgī ke sabz dāman meṅ
ziṅdgī meṅ surkh dāman meṅ kabhī kāṇṭoṅ ke dāġh -2
kabhī phūloṅ ke bāġh kabhī kāṇṭoṅ ke dāġh
phūl-kāṇṭoṅ se bharī haiṅ ziṅdgī kī vādiyāṇ
hai kahīṅ par śhādmānī aur kahīṅ nāśhādiyāṇ
ātī haiṅ duniyā meṅ sukh-dukh kī sadā yūṇ āṇdhiyāṇ, āṇdhiyāṇ -2
hai kahīṅ par śhādmānī aur kahīṅ nāśhādiyāṇ