Aanaa mere pyaar ko tum na jhoothaa samjho jaanaa

आना मेरे प्यार को तुम न झूठा समझो जाना
Year
Language

आना मेरे प्यार को तुम न झूठा समझो जाना
सनम तुम्हें पाने का ये था सारा बहाना
आना मेरे प्यार को …

चलो भी जो हुआ जाने दो
बहुत हो चुका जाने दो

देख मेरी तक़दीर दिल में किसका गीत
आँखों में तस्वीर किसकी है सनम
छोड़ो छोड़ो हाथ जानूं तेरी बात
झूठी है हर बात झूठी हर क़सम
हाँ झूठा हूँ या सच्चा हूँ जाने सारा ज़माना
आना मेरे प्यार को …

तुमने फेंका जाल उल्टी पड़ गई चाल
अब मैं हूँ जंजाल रस्ता नापिए
ऐसे तो न यार दिल को ठोकर मार
समझो मेरा प्यार ख़ुदा के लिए
समझ गई आज छोड़ो ज़्यादा न बातें बनाना
आना मेरे प्यार को …

ānā mere pyār ko tum na jhūṭhā samjho jānā
sanam tumheṅ pāne kā ye thā sārā bahānā
ānā mere pyār ko …

chalo bhī jo huā jāne do
bahut ho chukā jāne do

dekh merī taqdīr dil meṅ kiskā gīt
āṇkhoṅ meṅ tasvīr kiskī hai sanam
chhoṛo chhoṛo hāth jānūṅ terī bāt
jhūṭhī hai har bāt jhūṭhī har qasam
hāṇ jhūṭhā hūṇ yā sachchā hūṇ jāne sārā zamānā
ānā mere pyār ko …

tumne pheṅkā jāl ulṭī paṛ gaī chāl
ab maiṅ hūṇ jaṅjāl rastā nāpie
aise to na yār dil ko ṭhokar mār
samjho merā pyār khudā ke lie
samajh gaī āj chhoṛo zyādā na bāteṅ banānā
ānā mere pyār ko …