mere chṇdā mere naṅhe
tujhe apne sīne se kaise lagāūṇ
sūnī godī meṅ kaise uṭhāūṇ
chhup gaye lāḍle āṇchloṅ meṅ
rāt pariyoṅ kā paiġhām lāī
kis tarah so gayā tū akele
kis tarah bin mere nīṅd āī
mere chṇdā …
tere sapne meṅ ā to gaī maiṅ
apnī majbūriyāṇ kyā batāūṇ
būṇd bhī tan meṅ bāqī nahīṅ hai
bhūkh terī maiṅ kaise miṭhāūṇ
mere chṇdā …
ādmī bhī hai bhagvān bhī hai
phir bhī phirtā hai tū beshārā
kaun tujh ko gale se lagāye
patthroṅ kā hai ye śhahar sārā
mere chṇdā …
dūr jānā hai naṅhe musāfir
rāste meṅ kahīṅ thak na jānā
thāmke merī āhoṅ kī ḍorī
ḍhūṇḍ le tū hī apnā ṭhikānā
mere chṇdā …