Aajaa re mere pyaar ke raahee

आजा रे मेरे प्यार के राही
Work
Year
Language

आजा रे मेरे प्यार के राही
राह निहारूँ बड़ी देर से, आजा …

जो चाँद बुलाए, मैं तो नहीं बोलूँ
जो सूरज आए, आँख नहीं खोलूँ
मूँद के नैना मैं तिहारी
राह निहारूँ बड़ी देर से, आजा रे …

कहाँ है बसा दे तन की ख़ुशबू से
घटा से मैं खेलूँ ज़ुल्फ़ तेरी छूके
रूप का तेरे मैं पुजारी
राह निहारूँ बड़ी देर से, आजा रे …

कहीँ भी रहूँगी मैं हूँ तेरी छाया
तुझे मैंने पाके फिर भी नहीं पाया
देख मैं तेरी प्रीत की मारी
राह निहारूँ बड़ी देर से, आजा रे …

ājā re mere pyār ke rāhī
rāh nihārūṇ baṛī der se, ājā …

jo chāṇd bulāe, maiṅ to nahīṅ bolūṇ
jo sūraj āe, āṇkh nahīṅ kholūṇ
mūṇd ke nainā maiṅ tihārī
rāh nihārūṇ baṛī der se, ājā re …

kahāṇ hai basā de tan kī khuśhbū se
ghaṭā se maiṅ khelūṇ zulf terī chhūke
rūp kā tere maiṅ pujārī
rāh nihārūṇ baṛī der se, ājā re …

kahīṇ bhī rahūṇgī maiṅ hūṇ terī chhāyā
tujhe maiṅne pāke phir bhī nahīṅ pāyā
dekh maiṅ terī prīt kī mārī
rāh nihārūṇ baṛī der se, ājā re …