Aajaa re, aajaa re o mere dilbar aajaa

आजा रे, आजा रे ओ मेरे दिलबर आजा
Work
Year
Language

नूरी, नूरी
आजा रे, ओ दिलबर जानिया

आजा रे, आजा रे, ओ मेरे दिलबर आजा
दिल की प्यास बुझा जा रे

उजला उजला नर्म सवेरा रूह में मेरी झाँके
प्यार से पूछे कौन बसा है तेरे दिल में आ के
आजा रे, आजा रे ओ मेरे दिलबर आजा
तू ही आ के बता जा रे

दर्द जगाये मीठा मीठा अरमां जागे जागे
प्यार की प्यासी मैं दीवानी कुछ ना सोचू आगे
आजा रे, आजा रे ओ मेरे दिलबर आजा
फिर से आस बंधा जा रे

शाम सुहानी महकी महकी, खुशबू तेरी लाए
पास कही जब कलियाँ चटके, मैं जानू तू आए
आजा रे, आजा रे ओ मेरे दिलबर आजा
मुझ में आन समा जा रे

दूर नहीं मैं तुझ से साथी, मैं तो सदा से तेरी
एक नज़र जब तुझको देखू, जागे किस्मत मेरी
आजा रे, आजा रे ओ मेरे दिलबर आजा
फिर से आस बंधा जा रे

nūrī, nūrī
ājā re, o dilbar jāniyā

ājā re, ājā re, o mere dilbar ājā
dil kī pyās bujhā jā re

ujlā ujlā narm saverā rūh meṅ merī jhāṇke
pyār se pūchhe kaun basā hai tere dil meṅ ā ke
ājā re, ājā re o mere dilbar ājā
tū hī ā ke batā jā re

dard jagāye mīṭhā mīṭhā armāṅ jāge jāge
pyār kī pyāsī maiṅ dīvānī kuchh nā sochū āge
ājā re, ājā re o mere dilbar ājā
phir se ās baṅdhā jā re

śhām suhānī mahkī mahkī, khuśhbū terī lāe
pās kahī jab kaliyāṇ chaṭke, maiṅ jānū tū āe
ājā re, ājā re o mere dilbar ājā
mujh meṅ ān samā jā re

dūr nahīṅ maiṅ tujh se sāthī, maiṅ to sadā se terī
ek nazar jab tujhko dekhū, jāge kismat merī
ājā re, ājā re o mere dilbar ājā
phir se ās baṅdhā jā re