Aajaa aajaa aa ab aa sun le sadaa dil kee ... mere hamasafar jaan-e-jigar

आजा आजा आ अब आ सुन ले सदा दिल की ... मेरे हमसफ़र जान-ए-जिगर्
Work
Year
Language

आजा आजा आ अब आ सुन ले सदा दिल की
मेरे हमसफ़र जान-ए-जिगर मेरे हमनवां जान-ए-जहां
आजा आजा आ अब आ …

मौत से नहीं हारेंगे प्यार के दीवाने
ज़ुल्म चाहे जितना कर ले संगदिल ज़माने
आ अब आ …

वो आग मैं नहीं जो चाहे वो बुझा दे
वो चीज़ मैं नहीं हूँ जो चाहे वो मिटा दे
झूठी नहीं हैं क़समें सच्चे हैं मेरे वादे
हारेंगे हम कभी न मज़बूत हैं इरादे
आ अब आ …

ājā ājā ā ab ā sun le sadā dil kī
mere hamasafar jān-e-jigar mere hamanvāṅ jān-e-jahāṅ
ājā ājā ā ab ā …

maut se nahīṅ hāreṅge pyār ke dīvāne
zulm chāhe jitnā kar le saṅgdil zamāne
ā ab ā …

vo āg maiṅ nahīṅ jo chāhe vo bujhā de
vo chīz maiṅ nahīṅ hūṇ jo chāhe vo miṭā de
jhūṭhī nahīṅ haiṅ qasmeṅ sachche haiṅ mere vāde
hāreṅge ham kabhī na mazbūt haiṅ irāde
ā ab ā …