Aaj ye kisko nazar ke saamne paataa hoon main

आज ये किसको नज़र के सामने पाता हूँ मैं
Work
Year
Language

आज ये किसको नज़र के सामने पाता हूँ मैं
प्यार की भूली हुई यादों से टकराता हूँ मैं

क्‌या तुम्हें वो चाँदनी रातें भी याद आती नहीं -2
तुम तो कहते थे सितारों की क़सम खाता हूँ मैं -2

आओ उन टूटी हुई यादों को आ कर जोड़ दो -2
अब तुम्हारी याद आती है तो खो जाता हूँ मैं -2

तू न रो
तू न रो मेरे लिये जान-ए-तमन्ना तू न रो -2
तेरे आँसू देख कर बेताब हो जाता हूँ मैं -2

āj ye kisko nazar ke sāmne pātā hūṇ maiṅ
pyār kī bhūlī huī yādoṅ se ṭakrātā hūṇ maiṅ

k‌yā tumheṅ vo chāṇdnī rāteṅ bhī yād ātī nahīṅ -2
tum to kahte the sitāroṅ kī qasam khātā hūṇ maiṅ -2

āo un ṭūṭī huī yādoṅ ko ā kar joṛ do -2
ab tumhārī yād ātī hai to kho jātā hūṇ maiṅ -2

tū na ro
tū na ro mere liye jān-e-tamannā tū na ro -2
tere āṇsū dekh kar betāb ho jātā hūṇ maiṅ -2