आज मुझे कुछ कहना है, आज मुझे कुछ कहना है
कि: कश्ती का खामोश सफ़र है, शाम भी है तनहाई भी
दूर किनारे पर बजती है लहरों की शहनाई भी
आज मुझे कुछ कहना है, आज मुझे कुछ कहना है
लेकिन ये शर्मीली निगाहें मुझको इजाज़त दें तो कहूँ
ये मेरी बेताब उमंगें थोड़ी फ़ुर्सत दें तो कहूँ
सु: जो कुछ तुमको कहना है, वो मेरे ही दिल की बात न हो
जो मेरे ख़्वाबों की मंज़िल उस मंज़िल की बात न हो
कि: कहते हुए डर सा लगता है, कहकर बात न खो बैठूँ
ये जो ज़रा सा साथ मिला है, ये भी साथ न खो बैठूँ
सु: कबसे तुम्हारे रस्ते पे मैं, फूल बिछाये बैठी हूँ
कह भी चुको जो कहना है मैं आस लगाये बैठी हूँ
कि: दिल ने दिल की बात समझ ली, अब मुँह से क्या कहना है
आज नहीं तो कल कह लेंगे, अब तो साथ ही रहना है
सु: कह भी चुको, कह भी चुको जो कहना है
कि: छोड़ो अब क्या कहना है
ki: kaśhtī kā khāmośh safar hai, śhām bhī hai tanhāī bhī
dūr kināre par bajtī hai lahroṅ kī śhahnāī bhī
āj mujhe kuchh kahnā hai, āj mujhe kuchh kahnā hai
lekin ye śharmīlī nigāheṅ mujhko ijāzat deṅ to kahūṇ
ye merī betāb umaṅgeṅ thoṛī fursat deṅ to kahūṇ
su: jo kuchh tumko kahnā hai, vo mere hī dil kī bāt na ho
jo mere khvāboṅ kī maṅzil us maṅzil kī bāt na ho
ki: kahte hue ḍar sā lagtā hai, kahkar bāt na kho baiṭhūṇ
ye jo zarā sā sāth milā hai, ye bhī sāth na kho baiṭhūṇ
su: kabse tumhāre raste pe maiṅ, phūl bichhāye baiṭhī hūṇ
kah bhī chuko jo kahnā hai maiṅ ās lagāye baiṭhī hūṇ
ki: dil ne dil kī bāt samajh lī, ab muṇh se kyā kahnā hai
āj nahīṅ to kal kah leṅge, ab to sāth hī rahnā hai
su: kah bhī chuko, kah bhī chuko jo kahnā hai
ki: chhoṛo ab kyā kahnā hai