आज कोई प्यार से दिल की बातें कह गया, हाए
मैं तो आगे बढ़ गयी, पीछे ज़माना रह गया, हाए राम
चिरकर पत्थर का सीना झूमकर झरना बहा
जिसमे एक तूफान था, सौ करवटे लेता हुआ
आज मौजों की रवानी में किनारा बह गया
इक किनारा बह गया
उनके होठोंपर हसीं, हाए खिलके जब लहरा गयी
वो भी कुछ घबरा गये, मैं भी कुछ शर्मा गयी
कुछ नही कहते हुए भी कोई सब कुछ कह गया
हाए कोई सब कुछ कह गया
आज कोई प्यार से दिल की बातें कह गया
Work
Year
Language
āj koī pyār se dil kī bāteṅ kah gayā, hāe
maiṅ to āge baṛh gayī, pīchhe zamānā rah gayā, hāe rām
chirkar patthar kā sīnā jhūmkar jharnā bahā
jisme ek tūphān thā, sau karavṭe letā huā
āj maujoṅ kī ravānī meṅ kinārā bah gayā
ik kinārā bah gayā
unke hoṭhoṅpar hasīṅ, hāe khilke jab lahrā gayī
vo bhī kuchh ghabrā gaye, maiṅ bhī kuchh śharmā gayī
kuchh nahī kahte hue bhī koī sab kuchh kah gayā
hāe koī sab kuchh kah gayā