Aaj ki mulaqat bas itni

आज की मुलाकात बस इतनी
Work
Year
Language

फ़: आज की मुलाकात बस इतनी,
कर लेना बातें कल चाहे जितनी
म: अच्छी नहीं होती है ज़िद इतनी,
देखो हमें तुमसे है प्रीत कितनी

फ़: प्यार जो किया है जताते हो क्‌यूं,
बात ऐसी होठों पे लाते हो क्‌यूं
म: और हम जो पूछें सताते हो क्‌यूं,
अभी अभी आये अभी जाते हो क्‌यूं

म: कभी कभी ऐसे भी आया करो
चाँद निकले तो घर जाया करो
फ़: आयेंगे जायेंगे मरज़ी से हम
प्यार है तो नाज़ भी उठाया करो

म: ठहरो मैं दिल को सम्भालूं ज़रा
पलकों में तुमको छुपा लूं ज़रा
फ़: समझे ना अब तक मोहब्बत है क्‌या
आओ तुम्हे ये भी समझा दूं ज़रा

fa: āj kī mulākāt bas itnī,
kar lenā bāteṅ kal chāhe jitnī
ma: achchhī nahīṅ hotī hai zid itnī,
dekho hameṅ tumse hai prīt kitnī

fa: pyār jo kiyā hai jatāte ho k‌yūṅ,
bāt aisī hoṭhoṅ pe lāte ho k‌yūṅ
ma: aur ham jo pūchheṅ satāte ho k‌yūṅ,
abhī abhī āye abhī jāte ho k‌yūṅ

ma: kabhī kabhī aise bhī āyā karo
chāṇd nikle to ghar jāyā karo
fa: āyeṅge jāyeṅge marazī se ham
pyār hai to nāz bhī uṭhāyā karo

ma: ṭhahro maiṅ dil ko sambhālūṅ zarā
palkoṅ meṅ tumko chhupā lūṅ zarā
fa: samjhe nā ab tak mohabbat hai k‌yā
āo tumhe ye bhī samjhā dūṅ zarā