आज की काली घटा, मस्त-मतवाली घटा
आज की काली घटा, मस्त-मतवाली घटा
मुझसे कहती है कि प्यासा है कोई
कौन प्यासा है, मुझे क्या मालूम
आज की काली घटा …
प्यास के नाम से जी डरता है
इस इल्ज़ाम से जी डरता है
शौक-ए-बदनाम से जी डरता है
मीठी नज़रों में समाया है कोई
क्यों समाया है, मुझे क्या मालूम
आज की काली घटा …
प्यासी आँखों में मुहब्बत लेके
लड़खड़ा जाने की इजाज़त लेके
मुझसे बेवजह शिकायत लेके
दिल की दहलीज़ तक आया है कोई
कौन आया है, मुझे क्या मालूम
आज की काली घटा …
कुछ मज़ा आने लगा जीने में
जाग उठा दर्द कोई सीने में
मेरे एहसास के आइने में
इक साया नज़र आता है कोई
किसका साया है, मुझे क्या मालूम
आज की काली घटा …
ज़िन्दगी पहले ना थी इतनी हसीन
और अगर थी तो मुझे याद नहीं
यही अफ़साना ना बन जाये कहीं
कुछ निगाहों से सुनाता है कोई
क्या सुनाता है, मुझे क्या मालूम
आज की काली घटा …
āj kī kālī ghaṭā, mast-matvālī ghaṭā
mujhse kahtī hai ki pyāsā hai koī
kaun pyāsā hai, mujhe kyā mālūm
āj kī kālī ghaṭā …
pyās ke nām se jī ḍartā hai
is ilzām se jī ḍartā hai
śhauk-e-badnām se jī ḍartā hai
mīṭhī nazroṅ meṅ samāyā hai koī
kyoṅ samāyā hai, mujhe kyā mālūm
āj kī kālī ghaṭā …
pyāsī āṇkhoṅ meṅ muhabbat leke
laṛkhaṛā jāne kī ijāzat leke
mujhse bevjah śhikāyat leke
dil kī dahlīz tak āyā hai koī
kaun āyā hai, mujhe kyā mālūm
āj kī kālī ghaṭā …
kuchh mazā āne lagā jīne meṅ
jāg uṭhā dard koī sīne meṅ
mere ehsās ke āine meṅ
ik sāyā nazar ātā hai koī
kiskā sāyā hai, mujhe kyā mālūm
āj kī kālī ghaṭā …
zindgī pahle nā thī itnī hasīn
aur agar thī to mujhe yād nahīṅ
yahī afsānā nā ban jāye kahīṅ
kuchh nigāhoṅ se sunātā hai koī
kyā sunātā hai, mujhe kyā mālūm
āj kī kālī ghaṭā …