Aaj ham raushan karenge prem ke laakhon diye

आज हम रौशन करेंगे प्रेम के लाखों दिये
Work
Year
Language

लहराया तिरंगा मन के हिमालय से
उतरी है नये उजाले की गंगा
लहराया तिरंगा

आज हम रौशन करेंगे प्रेम के लाखों दिये
आज से हम सब रहेंगे प्यार का अमृत पिये

आज से हम सब जियेंगे
एक दूजे के लिये
क़सम खाते हैं ये
हम हमेशा ही रहेगा
जो होगा आज संगम
क़सम खाते हैं ये हम
आज हम रौशन करेंगे …

आज से हर डाल पर
कलियाँ खिलेंगी प्यार की
आज से होगी दिलों में
बात इस इक़रार की
आज से दीवार नफ़रत की
न उठने पायेगी
आज से बस आवाज़ यही आयेगी
आज हम रौशन करेंगे …

आज से आने न देंगे
हम दिलों में दूरियाँ
आज से हमको मिटाने हैं
ग़म और मजबूरियाँ
आज से लायेंगे हर
जीवन में इक मुसकान हम
आज से ऐसा बनायेंगे
ये हिन्दुस्तान हम
आज हम रौशन करेंगे …

lahrāyā tiraṅgā man ke himālay se
utrī hai naye ujāle kī gaṅgā
lahrāyā tiraṅgā

āj ham rauśhan kareṅge prem ke lākhoṅ diye
āj se ham sab raheṅge pyār kā amṛt piye

āj se ham sab jiyeṅge
ek dūje ke liye
qasam khāte haiṅ ye
ham hameśhā hī rahegā
jo hogā āj saṅgam
qasam khāte haiṅ ye ham
āj ham rauśhan kareṅge …

āj se har ḍāl par
kaliyāṇ khileṅgī pyār kī
āj se hogī diloṅ meṅ
bāt is iqrār kī
āj se dīvār nafrat kī
na uṭhne pāyegī
āj se bas āvāz yahī āyegī
āj ham rauśhan kareṅge …

āj se āne na deṅge
ham diloṅ meṅ dūriyāṇ
āj se hamko miṭāne haiṅ
ġham aur majbūriyāṇ
āj se lāyeṅge har
jīvan meṅ ik muskān ham
āj se aisā banāyeṅge
ye hindustān ham
āj ham rauśhan kareṅge …