Aaee zanjeer kee jhankaar khudaa khair kare

आई ज़ंजीर की झनकार ख़ुदा ख़ैर करे
Year
Language

आई ज़ंजीर की झनकार ख़ुदा ख़ैर करे
दिल हुआ किसका ग़िरफ़्तार ख़ुदा ख़ैर करे

जाने यह कौन मेरी रूह को छूकर ग़ुज़रा
एक क़यामत हुई बेदार ख़ुदा ख़ैर करे

लम्हा मेरी आँखों में खींचा जाती है
एक चमकती हुई तल्वार ख़ुदा ख़ैर करे

ख़ून दिल का न छलक जाए कहीं आँखों से
हो न जाए कहीं इज़हार ख़ुदा न करे

āī zaṅjīr kī jhankār khudā khair kare
dil huā kiskā ġhiraftār khudā khair kare

jāne yah kaun merī rūh ko chhūkar ġhuzrā
ek qayāmat huī bedār khudā khair kare

lamhā merī āṇkhoṅ meṅ khīṅchā jātī hai
ek chamaktī huī talvār khudā khair kare

khūn dil kā na chhalak jāe kahīṅ āṇkhoṅ se
ho na jāe kahīṅ izhār khudā na kare