Aae aao taare aasmaan ke dhartee pe kisne utaare

आए आओ तारे आसमां के धरती पे किसने उतारे
Work
Year
Language

आए आओ तारे आसमां के धरती पे किसने उतारे
किस ने हम को तोड़ा हमें छोड़ा किसके सहारे

आए आओ हम रोशनी दे सकते हैं
हम घर चमका सकते हैं
बिछड़ी हुई खुशी किसी की हम वापस ला सकते हैं

आए आओ हम प्यार जता सकते हैं
हम राह दिखा सकते हैं
मुस्काएं तो पत्थर दिल को हम मोम बना सकते हैं
आए आओ तारे आसमां के …

दिल माने जिसे वो ही अपना वैसे तो कौन है किसका
रिश्तों के लहू से बढ़ कर होता है दिलों का रिश्ता

आए आओ हम रहें न रहें यहां पर
यादें तो हमारी होंगी
दीवारों के लम्हों पर बातें तो हमारी होंगी
आए आओ तारे आसमां के …

āe āo tāre āsmāṅ ke dhartī pe kisne utāre
kis ne ham ko toṛā hameṅ chhoṛā kiske sahāre

āe āo ham rośhnī de sakte haiṅ
ham ghar chamkā sakte haiṅ
bichhaṛī huī khuśhī kisī kī ham vāpas lā sakte haiṅ

āe āo ham pyār jatā sakte haiṅ
ham rāh dikhā sakte haiṅ
muskāeṅ to patthar dil ko ham mom banā sakte haiṅ
āe āo tāre āsmāṅ ke …

dil māne jise vo hī apnā vaise to kaun hai kiskā
riśhtoṅ ke lahū se baṛh kar hotā hai diloṅ kā riśhtā

āe āo ham raheṅ na raheṅ yahāṅ par
yādeṅ to hamārī hoṅgī
dīvāroṅ ke lamhoṅ par bāteṅ to hamārī hoṅgī
āe āo tāre āsmāṅ ke …