Ameer kee hotee hai ... aaj mere yaar ki shaadee hai

अमीर की होती है ... आज मेरे यार कि शादी है
Year
Language

श: अमीर से होती है गरीब से होती है
दूर से होती है क़रीब से होती है
मगर जहाँ भी होती है ऐ मेरे दोस्तो
शादियाँ तो नसीब से होती है

र: आज मेरे यार कि शादी है -2
लगता है जैसे सारे संसार की शादी है
आज मेरे यार कि …

वक़्त है ख़ूबसूरत बड़ा शुभ लगन मुहूरत
देखो क्‌या ख़ूब जमीं है दूल्हें की भोली सूरत
दूल्हें की भोली सूरत
ख़ुशी से झूमें है मन मिला सजनी को साजन
कैसे संजोग मिले हैं चोली से बँध गया दामन
चोली से बँध गया दामन

दे: ओ सुन मेरे दिलजानी
शुरू अब होने लगी है नई तेरी ज़िन्दगानी
ख़ुशी से क्‌यों इतराए
अहा
आज तू हमें नचाए
वक़्त वो आने वाला
ओ हो
दुल्हनिया तुझे नचाए
दुल्हनिया तुझे नचाए
र: किसी के सपनों के सोलह सिंगार की शादी है
आज मेरे यार कि …

तारे तोड़-तोड़ लाऊँ तेरे सहरे को सजाऊँ
फूल राहों में बिछाऊँ मैं प्यार के
आज लूँगा मैं बलाएँ दूँगा दिल से दुआएँ
डाल गले में बाँहें अब यार के
एक चमन से देखो आज बहार की शादी है
आज मेरे यार कि शादी है मेरे दिलदार की शादी है
लगता है जैसे सारे संसार की शादी है
आज मेरे यार कि …

śha: amīr se hotī hai garīb se hotī hai
dūr se hotī hai qarīb se hotī hai
magar jahāṇ bhī hotī hai ai mere dosto
śhādiyāṇ to nasīb se hotī hai

ra: āj mere yār ki śhādī hai -2
lagtā hai jaise sāre saṅsār kī śhādī hai
āj mere yār ki …

vaqt hai khūbsūrat baṛā śhubh lagan muhūrat
dekho k‌yā khūb jamīṅ hai dūlheṅ kī bholī sūrat
dūlheṅ kī bholī sūrat
khuśhī se jhūmeṅ hai man milā sajnī ko sājan
kaise saṅjog mile haiṅ cholī se bṇdh gayā dāman
cholī se bṇdh gayā dāman

de: o sun mere diljānī
śhurū ab hone lagī hai naī terī zindgānī
khuśhī se k‌yoṅ itrāe
ahā
āj tū hameṅ nachāe
vaqt vo āne vālā
o ho
dulhniyā tujhe nachāe
dulhniyā tujhe nachāe
ra: kisī ke sapnoṅ ke solah siṅgār kī śhādī hai
āj mere yār ki …

tāre toṛ-toṛ lāūṇ tere sahre ko sajāūṇ
phūl rāhoṅ meṅ bichhāūṇ maiṅ pyār ke
āj lūṇgā maiṅ balāeṇ dūṇgā dil se duāeṇ
ḍāl gale meṅ bāṇheṅ ab yār ke
ek chaman se dekho āj bahār kī śhādī hai
āj mere yār ki śhādī hai mere dildār kī śhādī hai
lagtā hai jaise sāre saṅsār kī śhādī hai
āj mere yār ki …