Aadmee jo kahtaa hai, aadmee jo suntaa hai

आदमी जो कहता है, आदमी जो सुनता है
Work
Year
Language

कभी सोचता हूँ, कि मैं चुप रहूँ
कभी सोचता हूँ, कि मैं कुछ कहूँ

आदमी जो सुनता है, आदमी जो कहता है
ज़िंदगी भर वो सदायें पीछा करती हैं
आदमी जो देता है, आदमी जो करता है
रास्ते मे वो दुआएं पीछा करती हैं

कोई भी हो हर ख़्वाब तो अच्छा नहीं होता
बहुत ज्यादा प्यार भी अच्छा नहीं होता है
कभी दामन छुड़ाना हो, तो मुश्किल हो
प्यार के रस्ते छुटे तो, प्यार के रिश्ते टूटे तो
ज़िंदगी भर फिर वफ़ाएं पीछा करती हैं …

कभी कभी मन धूप के कारण तरसता है
कभी कभी फिर दिल में, सावन बरसता है
प्यास कभी बुझती नहीं, इक बूँद भी मिलती नहीं
और कभी रिम झिम घटाएं पीछा करती हैं …

kabhī sochtā hūṇ, ki maiṅ chup rahūṇ
kabhī sochtā hūṇ, ki maiṅ kuchh kahūṇ

ādmī jo suntā hai, ādmī jo kahtā hai
ziṅdgī bhar vo sadāyeṅ pīchhā kartī haiṅ
ādmī jo detā hai, ādmī jo kartā hai
rāste me vo duāeṅ pīchhā kartī haiṅ

koī bhī ho har khvāb to achchhā nahīṅ hotā
bahut jyādā pyār bhī achchhā nahīṅ hotā hai
kabhī dāman chhuṛānā ho, to muśhkil ho
pyār ke raste chhuṭe to, pyār ke riśhte ṭūṭe to
ziṅdgī bhar phir vafāeṅ pīchhā kartī haiṅ …

kabhī kabhī man dhūp ke kāraṇ tarastā hai
kabhī kabhī phir dil meṅ, sāvan barastā hai
pyās kabhī bujhtī nahīṅ, ik būṇd bhī miltī nahīṅ
aur kabhī rim jhim ghaṭāeṅ pīchhā kartī haiṅ …