आधी रात को खनक गया मेरा कंगना
ल: आधी रात को खनक गया मेरा कंगना -2
कहीं आए हों न सजना हमारे अंगना
आधी रात को खनक …
जा के सजन से कारे-कारे बदरा ये तो कहो ज़रा मेरे लिए -2
प्यार के रंग में रंग ली है मैने कोरी चुनर पिया तेरे लिए
( इस रंग पे ) -2 चढ़ेगा अब कोई दूजा रंग ना
आधी रात को खनक …
र: ओ जी हो सुनके खनक हम तेरे कंगना की
बात है क्या पहचान गए -2
कौन पुकारे कैसे हैं इशारे जानने वाले तो जान गए
( तेरे सामने ) -2 खड़े हैं गोरी तेरे सजना
चाहे कुछ भी हो टूटे न तुम्हारा कंगना
ल: आधी रात को खनक …
la: ādhī rāt ko khanak gayā merā kaṅgnā -2
kahīṅ āe hoṅ na sajnā hamāre aṅgnā
ādhī rāt ko khanak …
jā ke sajan se kāre-kāre badrā ye to kaho zarā mere lie -2
pyār ke raṅg meṅ raṅg lī hai maine korī chunar piyā tere lie
( is raṅg pe ) -2 chaṛhegā ab koī dūjā raṅg nā
ādhī rāt ko khanak …
ra: o jī ho sunke khanak ham tere kaṅgnā kī
bāt hai kyā pahchān gae -2
kaun pukāre kaise haiṅ iśhāre jānne vāle to jān gae
( tere sāmne ) -2 khaṛe haiṅ gorī tere sajnā
chāhe kuchh bhī ho ṭūṭe na tumhārā kaṅgnā
la: ādhī rāt ko khanak …