Aadam kaa lahoo, aadam kaa lahoo

आदम का लहू, आदम का लहू
Year
Language

मायूस न हो ऐ मेरे वतन
आँसू से न धो ये लाल कफ़न
मिटकर भी नहीं मिट पाता है
आदम का लहू, आदम का लहू -2

आया बनकर गांधी
वो कभी आया बनकर गांधी
वो कभी जागा बनकर सुक्‌रात
कभी बोला बनकर मनसूर
कभी चीखा बनकर फ़रहाद
कभी सौ भेस बदलकर आता है
आदम का लहू, आदम का लहू -2

हिंदू वो नहीं, मुसलिम वो नहीं -2
इनसान रे बस इनसान है वो
नफ़रत जो करे शैतान है वो
ग़र प्यार करे भगवान है वो
अटरे (??) में समंदर लाता है
आदम का लहू, आदम का लहू -2

māyūs na ho ai mere vatan
āṇsū se na dho ye lāl kafan
miṭkar bhī nahīṅ miṭ pātā hai
ādam kā lahū, ādam kā lahū -2

āyā bankar gāṅdhī
vo kabhī āyā bankar gāṅdhī
vo kabhī jāgā bankar suk‌rāt
kabhī bolā bankar mansūr
kabhī chīkhā bankar farhād
kabhī sau bhes badalkar ātā hai
ādam kā lahū, ādam kā lahū -2

hiṅdū vo nahīṅ, muslim vo nahīṅ -2
insān re bas insān hai vo
nafrat jo kare śhaitān hai vo
ġhar pyār kare bhagvān hai vo
aṭre (??) meṅ samaṅdar lātā hai
ādam kā lahū, ādam kā lahū -2