Aa teree tasveer banaa loon

आ तेरी तसवीर बना लूँ
Work
Year
Language

आ तेरी तसवीर बना लूँ
मैं अपनी तक़दीर बना लूँ
दिल के कोरे कागज़ पर
उल्फ़त की लकीर बना लूँ
आ तेरी तसवीर बना लूँ …

रंग हमारे तेरी जवानी
बन जाये एक प्रेम कहानी
दूर किसी को लेने जा के
सुन लूँ और सुना लूँ
आ तेरी तसवीर बना लूँ …

बाल हैं बादल जैसे काले
साग़र से नैना मतवाले
तेरे गुलाबी गालों से
जी करता है रंग चुरा लूँ
आ तेरी तसवीर बना लूँ …

ā terī tasvīr banā lūṇ
maiṅ apnī taqdīr banā lūṇ
dil ke kore kāgaz par
ulfat kī lakīr banā lūṇ
ā terī tasvīr banā lūṇ …

raṅg hamāre terī javānī
ban jāye ek prem kahānī
dūr kisī ko lene jā ke
sun lūṇ aur sunā lūṇ
ā terī tasvīr banā lūṇ …

bāl haiṅ bādal jaise kāle
sāġhar se nainā matvāle
tere gulābī gāloṅ se
jī kartā hai raṅg churā lūṇ
ā terī tasvīr banā lūṇ …