Aa teen kanastar peet-peet kar galaa phaar kar chillaanaa

आ टीन कनस्तर पीट-पीट कर गला फाड़ कर चिल्लाना
Year
Language

आ टीन कनस्तर पीट-पीट कर गला फाड़ कर चिल्लाना
यार मेरे मत बुरा मान ये गाना है न बजाना है
टीन कनस्तर पीट-पीट कर …

नाच के बदले कमर नचाना उछल के सर्कस दिखलाना
भूल है तेरी तू समझा है दुनिया पागलखाना है
टीन कनस्तर पीट-पीट कर …

उधर से लेकर इधर जमा कर कब तक काम चलाओगे
किसका रहा ज़माना इक दिन महफ़िल से उठ जाओगे -2
नकल का धंधा चल नहीं सकता इक दिन तो पछताना है
यार मेरे मत बुरा …

भूल गया तू तानसेन की तान यही पर गूँजी थी
सुर के जादूगर बैजू की शान यहीं पर गूँजी थी
मर के अमर है सहगल उसका हर कोई दीवाना है
हर कोई दीवाना है मर के अमर है सहगल उसका
यार मेरे मत बुरा …

ā ṭīn kanastar pīṭ-pīṭ kar galā phāṛ kar chillānā
yār mere mat burā mān ye gānā hai na bajānā hai
ṭīn kanastar pīṭ-pīṭ kar …

nāch ke badle kamar nachānā uchhal ke sarkas dikhlānā
bhūl hai terī tū samjhā hai duniyā pāgalkhānā hai
ṭīn kanastar pīṭ-pīṭ kar …

udhar se lekar idhar jamā kar kab tak kām chalāoge
kiskā rahā zamānā ik din mahafil se uṭh jāoge -2
nakal kā dhaṅdhā chal nahīṅ saktā ik din to pachhtānā hai
yār mere mat burā …

bhūl gayā tū tānsen kī tān yahī par gūṇjī thī
sur ke jādūgar baijū kī śhān yahīṅ par gūṇjī thī
mar ke amar hai sahgal uskā har koī dīvānā hai
har koī dīvānā hai mar ke amar hai sahgal uskā
yār mere mat burā …