Aa pyaar ke rang bharen pyaare alfaazon men

आ प्यार के रंग भरें प्यारे अल्फ़ाज़ों में
Year
Language

आ प्यार के रंग भरें प्यारे अल्फ़ाज़ों में
यूं सुनें हम दिल की बातें अपनी आवाज़ों में
आ प्यार के रंग …

जिसने दिल धड़काया उस पल को हम याद करें
उस पल की यादों से नग़्में हम आबाद करें
संगीत नया जागा हो संगीत नया जागा
धड़कन के इन साज़ों में
आ प्यार के रंग …

मिलना और बिछुड़ना इस जीवन की रीत रही
कितने रूप बदले मन में लेकिन प्रीत रही
हैं रंग वफ़ाओं के अपने इस अन्दाज़ों में
आ प्यार के रंग …

ā pyār ke raṅg bhareṅ pyāre alfāzoṅ meṅ
yūṅ suneṅ ham dil kī bāteṅ apnī āvāzoṅ meṅ
ā pyār ke raṅg …

jisne dil dhaṛkāyā us pal ko ham yād kareṅ
us pal kī yādoṅ se naġhmeṅ ham ābād kareṅ
saṅgīt nayā jāgā ho saṅgīt nayā jāgā
dhaṛkan ke in sāzoṅ meṅ
ā pyār ke raṅg …

milnā aur bichhuṛnā is jīvan kī rīt rahī
kitne rūp badle man meṅ lekin prīt rahī
haiṅ raṅg vafāoṅ ke apne is andāzoṅ meṅ
ā pyār ke raṅg …