Aa jaa jaan-e-jaan, mere meharbaan

आ जा जान-ए-जां, मेरे मेहरबां
Year
Language

आजा जान-ए-जान, मेरे मेहरबां
नैनों का कजरा बुलाये, दिल का ये अचरा बुलाये
बाहों का गजरा बुलाये

जब से गया तू घर से, मेरी मोहब्बत तरसे
पलकों से सावन बरसे, चंदा ना गुज़रे इधर से
हर साँस दिल को दुखाये, ज़ख़्मों ने आँसू बहाये

घुँगरू में नग्मा तुम्हारा, आँखों में जलवा तुम्हारा
फूलों में मुखड़ा तुम्हारा, तारों में हँसना तुम्हारा
मेरी नज़र ललचाये, होठों से निकले हाये

ājā jān-e-jān, mere meharbāṅ
nainoṅ kā kajrā bulāye, dil kā ye achrā bulāye
bāhoṅ kā gajrā bulāye

jab se gayā tū ghar se, merī mohabbat tarse
palkoṅ se sāvan barse, chaṅdā nā guzre idhar se
har sāṇs dil ko dukhāye, zakhmoṅ ne āṇsū bahāye

ghuṇgrū meṅ nagmā tumhārā, āṇkhoṅ meṅ jalvā tumhārā
phūloṅ meṅ mukhaṛā tumhārā, tāroṅ meṅ hṇsnā tumhārā
merī nazar lalchāye, hoṭhoṅ se nikle hāye