Aa jaa aaee bahaar, dil hai beqraar

आ जा आई बहार, दिल है बेक़रार
Work
Year
Language

आ जा आई बहार, दिल है बेक़रार
ओ मेरे राजकुमार, तेरे बिन रहा ना जाए

झोकों से जब भी, चले पुरवाई
तन मेरा टूटे, आये अंगड़ाई
दिल को बार बार, तेरा इंतज़ार
ओ मेरे राजकुमार, तेरे बिन रहा ना जाए

मन में सुनू मैं, तेरी मुरलियाँ
नाचू मैं छमछम, बाजे पायलियाँ
दिल का तार तार, तेरी करे पुकार
ओ मेरे राजकुमार, तेरे बिन रहा ना जाए

जल की मछरिया, जल में है प्यासी
खुशियों के दिन हैं, फिर भी उदासी
लेकर मेरा प्यार, आ जा अब के बार
ओ मेरे राजकुमार, तेरे बिन रहा ना जाए

ā jā āī bahār, dil hai beqrār
o mere rājkumār, tere bin rahā nā jāe

jhokoṅ se jab bhī, chale purvāī
tan merā ṭūṭe, āye aṅgaṛāī
dil ko bār bār, terā iṅtazār
o mere rājkumār, tere bin rahā nā jāe

man meṅ sunū maiṅ, terī murliyāṇ
nāchū maiṅ chhamchham, bāje pāyliyāṇ
dil kā tār tār, terī kare pukār
o mere rājkumār, tere bin rahā nā jāe

jal kī machhriyā, jal meṅ hai pyāsī
khuśhiyoṅ ke din haiṅ, phir bhī udāsī
lekar merā pyār, ā jā ab ke bār
o mere rājkumār, tere bin rahā nā jāe