Aa..... gale lag jaa, mere sapne, mere apne

आ..... गले लग जा, मेरे सपने, मेरे अपने
Work
Year
Language

आ..... गले लग जा, मेरे सपने, मेरे अपने, मेरे पास आ
आबाद है तू मेरी धडकनों में मेरी जान तुझमे बसी है
बादल से जो आस है मोर को, मेरे दिल को वो तुझसे लगी है
एक तेरी मुस्कान, अंगडाई लेती हुई मेरी तकदीर जागे
एक तेरी झलकी, चली आए पल में मेरी मंजिलें मेरी आगे
मत आजमा तू मेरे प्यार को, खेल मत यूं मेरी जिंदगी से
उल्फत के मारों को क्या मारना, जान दे देते हैं जो खुशी से
ये हुस्न जिसको मिले जानेजां, बेदिली उसको सजती नहीं है
हो खूबरू चाँद से जो हसीन, बेरुखी उसकी जँचती नहीं है

ā..... gale lag jā, mere sapne, mere apne, mere pās ā
ābād hai tū merī dhaḍaknoṅ meṅ merī jān tujhme basī hai
bādal se jo ās hai mor ko, mere dil ko vo tujhse lagī hai
ek terī muskān, aṅgḍāī letī huī merī takdīr jāge
ek terī jhalkī, chalī āe pal meṅ merī maṅjileṅ merī āge
mat ājmā tū mere pyār ko, khel mat yūṅ merī jiṅdgī se
ulphat ke māroṅ ko kyā mārnā, jān de dete haiṅ jo khuśhī se
ye husn jisko mile jānejāṅ, bedilī usko sajtī nahīṅ hai
ho khūbrū chāṇd se jo hasīn, berukhī uskī jṇchtī nahīṅ hai