Aa aa kaise samjhaaoon baree naasmajh ho

आ आ कैसे समझाऊँ बड़ी नासमझ हो
Work
Year
Language

र: आ आ
कैसे समझाऊँ बड़ी नासमझ हो -2
हमसे न जीतोगी तुम रहने दो ये बाज़ी
कैसे समझाऊँ …

आ: आ आ
कैसे समझाऊँ बड़े नासमझ हो -2
आए-गए तुम जैसे सैकड़ों अनाड़ी
कैसे समझाऊँ …

र: हम दिल का साज़ बजाते हैं दुनिया के होश उड़ाते हैं
हम सात सुरों के सागर हैं हर महफ़िल में लहराते हैं -2
कैसे समझाऊँ …

आ: तुम साज़ बजाना क्‌या जानो तुम रंग जमाना क्‌या जानो -2
महफ़िल तो हमारे दम से है तुम होश उड़ाना क्‌या जानो -2
कैसे समझाऊँ …

मैं नाचूँ चाँद-सितारों पर शोलों पर शरारों पर
र: हम ऐसी कला के दीवाने छा जाएँ नशीली बहारों पर
कैसे समझाऊँ …

ra: ā ā
kaise samjhāūṇ baṛī nāsmajh ho -2
hamse na jītogī tum rahne do ye bāzī
kaise samjhāūṇ …

ā: ā ā
kaise samjhāūṇ baṛe nāsmajh ho -2
āe-gae tum jaise saikaṛoṅ anāṛī
kaise samjhāūṇ …

ra: ham dil kā sāz bajāte haiṅ duniyā ke hośh uṛāte haiṅ
ham sāt suroṅ ke sāgar haiṅ har mahafil meṅ lahrāte haiṅ -2
kaise samjhāūṇ …

ā: tum sāz bajānā k‌yā jāno tum raṅg jamānā k‌yā jāno -2
mahafil to hamāre dam se hai tum hośh uṛānā k‌yā jāno -2
kaise samjhāūṇ …

maiṅ nāchūṇ chāṇd-sitāroṅ par śholoṅ par śharāroṅ par
ra: ham aisī kalā ke dīvāne chhā jāeṇ naśhīlī bahāroṅ par
kaise samjhāūṇ …