apne āp rātoṅ meṅ chilamneṅ saraktī haiṅ
chauṅkte haiṅ darvāze, sīṛhīyāṇ ḍhaṛaktī haiṅ, apne āp apne āp
ek ajanbī āhaṭ ā rahī hai kam-kam sī
jaise dil ke pardoṅ par gir rahī ho śhabnam sī
bin kisīkī yād āye dil ke tār hilte haiṅ
bin kisīke khankāye chūṛiyāṇ khanaktī haiṅ, apne āp
apne āp
koī pahle din jaise ghar kisīke jātā ho
jaise khud musāfir ko rāstā bulātā ho
pāṇv jāne kis jānib beuṭhāye uṭhte haiṅ
aur chham-chhamā-chham-chham pāyleṅ jhanaktī haiṅ, apne āp
apne āp rātoṅ meṅ chilamneṅ saraktī haiṅ
chauṅkte haiṅ darvāze, sīṛhīyāṇ bhaṛaktī haiṅ, apne āp apne āp