achchhā unheṅ dekhā hai bīmār huī āṇkheṅ
murjhāī sī rahtī hai ghabrāī sī rahtī haiṅ
māśhūkoṅ kī mahafil meṅ śharmāī sī rahtī haiṅ
kyā jāne huā kyā hai patthrāī sī rahtī haiṅ
achchhā unheṅ dekhā bīmār huī āṇkheṅ
śhokhī bhī luṭā baiṭhī mastī bhī luṭā baiṭhī
uṭhtī hai na jhuktī haiṅ kyā rog lagā baiṭhī
achchhā unheṅ dekhā bīmār huī āṇkheṅ
kis tarah haṭe dar se vādā hai sitamgar se
kahtī hai lagan dil kī vo chal bhī chuke ghar se
hai fāslā dam bhar kā phir dekh sāmā ghar kā
vo hilne lagā chilman vo pardā-e-dar sarkā
lo ā hī gayā koī lo chār huī āṇkheṅ sarśhār huī āṇkheṅ
vo naqāb rukh se uṭhāe kyoṅ
vo bahār-e-husn luṭāe kyoṅ
sar-e-bazam jalvā dikhāe kyoṅ
tumheṅ aṇkhiyoṅ se pilāe kyoṅ
ke vo apne naśhe meṅ chūr hai
jo naśhe meṅ chūr rahe sadā
use terī hāl kā kyā patā
rahā yūṇ hī dil kā muāmlā
magar uskī koī nahīṅ khatā
terī āṇkh kā ye kasūr hai
āṇkhoṅ pe paṛā pardā lāchār huī āṇkheṅ
achchhā unheṅ dekhā hai bīmār huī āṇkheṅ
hamne āj ek khvāb dekhā hai khvāb bhī lājvāb dekhā hai
koī tābīr is kī batlāo rāt ko āftāb dekhā hai
yānī ziṅdā śharāb dekhoge husn ko be-naqāb dekhoge
rāt ko āftāb dekhā hai subah ko māhtāb dekhoge
chāṇdnī meṅ uṭhī ghaṭā jaise
dar-e-mayakhānā khul gayā jaise
ye fasānā sahī hasīṅ to hai
naśhe meṅ rach gaī adā jaise
koī tum sā bhī ho nā dīvānā
tum haqīkat ko samjhe afsānā
chāṇdnī us kā raṅg zulf ghaṭā
aur āṇkheṅ haiṅ jaise maikhānā
mayakhāne meṅ pahuṇchī to mayakhvār huī āṇkheṅ
gulnār huī āṇkheṅ …
achchhā unheṅ dekhā hai bīmār huī āṇkheṅ
dil kā na kahā mānā gaddār huī āṇkheṅ
achchhā unheṅ dekhā hai bīmār huī āṇkheṅ
lāchār huī āṇkheṅ mayakhvār huī āṇkheṅ
achchhā unheṅ dekhā hai bīmār huī āṇkheṅ