sabse baṛā nādān vahī hai jo samjhe nādān mujhe
kaun-kaun kitne pānī meṅ sabkī hai pahchān mujhe
sabse baṛā nādān …
daulat hai tere qadmoṅ meṅ qismat hai tere hāthoṅ meṅ
khuśhiyāṇ haiṅ terī palkoṅ meṅ mastī hai terī āṇkhoṅ meṅ
sab kuchh tujhko mālik ne diyā maiṅ tujhko kyā de saktā hūṇ
ik rūp ko bheṅṭ kī riśhvat denā lagtā hai aprādh mujhe
kaun-kaun kitne pānī …
koī śhān kī khātir paise ko pānī kī tarah bahātā hai
kahīṅ bin qīmat mālik kā diyā pānī paise se biktā hai
is sabhā kī sundar chehroṅ se raunak to baṛhtī hai lekin
raunak vāle chehroṅ ke pīchhe mile haiṅ dil sunsān mujhe
kaun-kaun kitne pānī …
dharm-karm sabhytā maryādā nazar na āī mujhe kahīṅ
gītā jñān kī bāteṅ dekho āj kisī ko yād nahīṅ
māf mujhe kar denā bhāiyoṅ jhūṭh nahīṅ maiṅ bolūṇgā
vahī kahūṇgā āpse jo gītā se milā hai jñān mujhe
kaun-kaun kitne pānī …