āyā na hamko pyār jatānā, pyār kabhī se tujhe karte haiṅ
bholāpan terā bhā gayā hamko, sādgī par terī marte haiṅ
jisne hamāre dil ko samjhā vo ek terā hī dil hai
terā āṇchal bas apnī yahī to maṅzil hai
bholāpan terā …
sūrat achchhī sīrat achchhī tū to ek hai lākhoṅ meṅ
khud pe bharosā baṛh jātā hai jab tere sāth guzarte haiṅ
bholāpan terā …
ek hī jīvan meṅ to dil kī pyās bujhā nahīṅ pāyeṅge
tujhko phir pāne ke liye ham agle janam meṅ āyeṅge
pyār amar hai amar hī rahegā
marne vāle insān marte haiṅ
bholāpan terā …