ho, akelā chal re, ho, fakīrā chal re
o sunke terī pukār, saṅg chalne ko tere koī ho na ho taiyār
himmat na hār, chal chalā chal akelā chal chalā chal …
fakīr chal chalā chal
bachapan meṅ huā ghar se beghar
āj talak nā bas pāyā
ghar meṅ lagī jo āg vo bujh gaī, jaltī rahī terī kāyā
bītī bāteṅ bisār, aisā koī nahīṅ jo na ho
ġham se bezār, himmat na hār …
jisne liyā saṅkalp sabhī ke
dukh aur dard miṭāne kā
uspe haṅsā jag usne kabhī nā, pāyā sāth zamāne kā
le le auroṅ kā bhār, koī jinkā nahīṅ hai unkā
jīvan saṅvār, himmat na hār …
sūraj chaṅdā tāre jugnū
sabkī apnī hastī hai
jismeṅ jitnā nīr ho badlī, utnī der barastī hai
terī śhaktī apār, tū to lāyā re akelā gaṅgā
dhartī pe utār, himmat na hār …
vo kyā samjhe dard kisī kā
jisne dukh nā jhelā ho
do ab aur do hāth ho jiske, vo kāhe ko akelā ho
āe saṅkaṭ hazār, terī khātir koī na khole
kabhī na apnā dvār, himmat na hār …