naī rī lagan aur mīṭhī batiyāṇ
piyā jāne aur jiyā morā jāne, sakhī
kis kis bāt pe dhaṛke chhatiyāṇ
piyā jāne aur jiyā morā jāne, sakhī …
bāl bhī uljhe haiṅ sapne bhī
dūje lāge haiṅ apne bhī
ho gaye ham kyoṅ aise dīvāne
piyā jāne aur jiyā morā jāne, sakhī …
kāgā jā, jā jā jā (2)
jā re kāgā jā, jā jā jā, jā re
na de more piyā ko saṅdesvā
jā jā jā re jā re
kāgā jā
piyā nāhi āye, piyā nāhi āye
more ālī kaise kare man kab jāūṇ
piyā nāhi āye, piyā nāhi āye
barse badraiyā sāvan kī
sāvan meṅ gum kyoṅ merā manvā
bhanak sunī piyā āvan kī
umaṛ ghumaṛ chahūṇ diśh so āyo
bijurī chamke jhar lāvan kī
barse badraiyā sāvan kī