ye dil, ye pāgal dil merā kyoṅ bujh gayā ... āvārgī
is daśht meṅ ik śhahar thā vo kyā huā ... āvārgī
kal śhab mujhe beśhakl sī āvāz ne chauṅkā diyā
maiṅne kahā tū kaun hai, usne kahā ... āvārgī
ye dard kī tanhāiyāṇ, ye daśht kā vīrāṇ safar
ham log to uktā gaye apnī sunā ... āvārgī
logoṅ bhalā us śhahar meṅ kaise jiyeṅge ham
jahāṇ ho jurm tanhā sochnā, lekin sazā ... āvārgī
ik ajanbī jhoṅke ne jab pūchhā mere ġham kā sabab
sahrā kī bhīgī ret par maiṅne likhā ... āvārgī
ek tū ki sadiyoṅ se mere hamrāh bhī hamrāz bhī
ek maiṅ ki tere nām se nā-āśhnā ... āvārgī
le ab to daśht-e-śhab kī sārī vus-ateṅ sone lagīṅ
ab jāgnā hogā hameṅ kab tak batā ... āvārgī
kal rāt tanhā chāṇd ko dekhā thā maiṅne khvāb meṅ
‘mohsin’ mujhe rās āegī śhāyad sadā ... āvārgī