tere pyār kā āsrā chāhtā hūṇ
vafā kar rahā hūṇ vafā chāhtā hūṇ
hasīno se ahad-e-vafā chāhte ho
baṛe nāsmajh ho ye kyā chāhte ho
1) tere narm bāloṅ meṅ tāre sajā ke
tere śhokh kadmoṅ meṅ kaliyāṅ bichhā ke
mohabbat kā chhoṭā sā mandir banā ke
tujhe rāt din pūjnā chāhtā hūṇ, vafā …
2) zarā soch lo dil lagāne se pahle
ki khonā bhī paṛtā hai pāne ke pahle
ijāzat to le lo zamāne se pahle
ki tum husn ko pūjnā chāhte ho, baṛe …
3) kahāṇ tak jiyeṅ terī ulfat ke māre
guzartī nahīṅ zindgī bin sahāre
bahut ho chuke dūr rahkar iśhāre
tujhe pās se dekhnā chāhtā hūṇ, vafā …
4) mohabbat kī duśhman hai sārī khudāī
mohabbat kī taqdīr meṅ hai judāī
jo sunte nahīṅ haiṅ diloṅ kī duhāī
unhīṅ se mujhe māṇgnā chāhte ho, baṛe …
5) dupaṭṭe ke kone ko muṇh meṅ dabā ke
zarā dekh lo is taraf muskurā ke
mujhe lūṭ lo mere nazdīk ā ke
ki maiṅ maut se khelnā chāhtā hūṇ, vafā …
6) galat sāre dāveṅ galat sārī kasmeṅ
nibheṅgī yahāṇ kaise ulfat ki rasmeṅ
yahāṇ zindgī hai rivāzoṅ ke bas meṅ
rivāzoṅ ko tum toṛnā chāhte ho, baṛe …
7) rivāzoṅ kī parvāh nā rasmoṅ kā ḍar hai
terī āṇkh ke faisle pe nazar hai
balā se agar rāstā purkhatar hai
maiṅ is hāth ko thāmnā chāhtā hūṇ, vafā …