You are here

Ye to baat hai log kam jaante hain ... sharaafat alee ko sharaafat ne maaraa

Title (Indic)
ये तो बात है लोग कम जानते हैं ... शराफ़त अली को शराफ़त ने मारा
Work
Year
Language
Credits
Role Artist
Music Laxmikant-Pyarelal
Performer Mahendra Jaiswal
Munna Aziz
Kavita Krishnamurthy
Writer Anand Bakshi

Lyrics

Hindi

ये तो बात है लोग कम जानते हैं
हमने किसे मारा ये हम जानते हैं
किसी को किसी की मोहब्बत ने मारा
किसी को किसी की अदावत ने मारा
शराफ़त अली को शराफ़त ने मारा
किसी को किसी की …

फ़लक पर ज़मीं पर कहीं न कहीं पर
बनी सख्त उलझन बना वक़्त दुश्मन
मेरे ग़म गुसारों मुक़द्दर के मारों
किसी को ना छोड़ा भरम सबका तोड़ा
अमीरों को दुनिया में दौलत ने मारा
गरीबों को दुनिया में गुरबत ने मारा
शराफ़त अली को …

दोस्तों हर बात के मतलब हैं दो
एक है मुंह में जुबां और लब हैं दो
हम कंवारे थे तो मसला एक था
हो गई शादी तो मसले हैं दो
हुई तुमसे शादी गई उम्र आधी
मिला रोज़ सदमा मिटा न मुकदमा
उड़ी मुंह से लाली हुई जेब खाली
दलीलों से तौबा वकीलों से तौबा
मुझे हाय तेरी वक़ालत ने मारा
तुझे हाय मेरी अदालत ने मारा
शराफ़त अली को …

किया तंग ग़म ने मगर फिर भी हमने
कसम ये न तोड़ी शराफ़त न छोड़ी
नज़ाकत न छोड़ी सदाकत न छोड़ी
अगरचे जहां में हर एक इम्तेहां में
नज़ाकत अली को नज़ाकत ने मारा
सदाकत अली को सदाकत ने मारा
शराफ़त अली को …

वकालत को छोड़ो बनो तुम गवइया
कमा लो रुपइया ओ बबुआ ओ भइया
गज़ल खूब गाई ओ शाबा ओ शाबा
तेरे नाम कीत्ता ओ तेरे नाम कीत्ता मैं छज्जू दा ढाबा
किसी को किसी की शराफ़त ने मारा
किसी को किसी की शिकायत ने मारा
शराफ़त अली को …

English

ye to bāt hai log kam jānte haiṅ
hamne kise mārā ye ham jānte haiṅ
kisī ko kisī kī mohabbat ne mārā
kisī ko kisī kī adāvat ne mārā
śharāfat alī ko śharāfat ne mārā
kisī ko kisī kī …

falak par zamīṅ par kahīṅ na kahīṅ par
banī sakht uljhan banā vaqt duśhman
mere ġham gusāroṅ muqaddar ke māroṅ
kisī ko nā chhoṛā bharam sabkā toṛā
amīroṅ ko duniyā meṅ daulat ne mārā
garīboṅ ko duniyā meṅ gurbat ne mārā
śharāfat alī ko …

dostoṅ har bāt ke matalab haiṅ do
ek hai muṅh meṅ jubāṅ aur lab haiṅ do
ham kaṅvāre the to maslā ek thā
ho gaī śhādī to masle haiṅ do
huī tumse śhādī gaī umr ādhī
milā roz sadmā miṭā na mukadmā
uṛī muṅh se lālī huī jeb khālī
dalīloṅ se taubā vakīloṅ se taubā
mujhe hāy terī vaqālat ne mārā
tujhe hāy merī adālat ne mārā
śharāfat alī ko …

kiyā taṅg ġham ne magar phir bhī hamne
kasam ye na toṛī śharāfat na chhoṛī
nazākat na chhoṛī sadākat na chhoṛī
agarche jahāṅ meṅ har ek imtehāṅ meṅ
nazākat alī ko nazākat ne mārā
sadākat alī ko sadākat ne mārā
śharāfat alī ko …

vakālat ko chhoṛo bano tum gavaiyā
kamā lo rupaiyā o babuā o bhaiyā
gazal khūb gāī o śhābā o śhābā
tere nām kīttā o tere nām kīttā maiṅ chhajjū dā ḍhābā
kisī ko kisī kī śharāfat ne mārā
kisī ko kisī kī śhikāyat ne mārā
śharāfat alī ko …

Lyrics search