Zindgee aa rahaa hoon main

ज़िंदगी आ रहा हूँ मैं
Work
Year
Language

लिये सपने निगाहों में, चला हूँ तेरी राहों में
ज़िंदगी आ रहा हूँ मैं ...
कई यादों के चेहरे हैं, कई किस्से पुराने हैं
तेरी सौ दास्तानें हैं, तेरे कितने फ़साने हैं
मगर एक वो कहानी है, जो अब मुझको सुनानी है
ज़िंदगी आ रहा हूँ मैं ...
मेरे हाथों की गरमी से, पिघल जायेंगी ज़ंजीरे
मेरे कदमों की आहट से, बदल जायेंगी तक़दीरे
उम्मीदों के दिये लेकर, ये सब तेरे लिये लेकर
ज़िंदगी आ रहा हूँ मैं ...
कभी तुझको गिला मुझसे, कभी मुझको शिकायत है
मगर फिर भी तुझे मेरी, मुझे तेरी ज़रूरत है
मैं ये इक़रार करता हूँ, मैं तुझसे प्यार करता हूँ
ज़िंदगी आ रहा हूँ मैं ...

liye sapne nigāhoṅ meṅ, chalā hūṇ terī rāhoṅ meṅ
ziṅdgī ā rahā hūṇ maiṅ ...
kaī yādoṅ ke chehre haiṅ, kaī kisse purāne haiṅ
terī sau dāstāneṅ haiṅ, tere kitne fasāne haiṅ
magar ek vo kahānī hai, jo ab mujhko sunānī hai
ziṅdgī ā rahā hūṇ maiṅ ...
mere hāthoṅ kī garmī se, pighal jāyeṅgī zaṅjīre
mere kadmoṅ kī āhaṭ se, badal jāyeṅgī taqdīre
ummīdoṅ ke diye lekar, ye sab tere liye lekar
ziṅdgī ā rahā hūṇ maiṅ ...
kabhī tujhko gilā mujhse, kabhī mujhko śhikāyat hai
magar phir bhī tujhe merī, mujhe terī zarūrat hai
maiṅ ye iqrār kartā hūṇ, maiṅ tujhse pyār kartā hūṇ
ziṅdgī ā rahā hūṇ maiṅ ...