Ye peene vaale bahut hee ajeeb hote hain

ये पीने वाले बहुत ही अजीब होते हैं
Work
Language

ये पीने वाले बहुत ही अजीब होते हैं
जहाँ से दूर ये खुद के करीब होते हैं

किसी को प्यार मिले और किसी को रुसवाई
मोहब्बतों के सफ़र भी अजीब होते हैं

मिला किसी को हैं क्या सोचिये अमीरी से
दिलों के शाह तो अक्सर ग़रीब होते हैं

यहाँ के लोगों की हैं ख़ासियत ये सबसे बड़ी
हबीब लगते हैं लेकिन रक़ीब होते हैं

ye pīne vāle bahut hī ajīb hote haiṅ
jahāṇ se dūr ye khud ke karīb hote haiṅ

kisī ko pyār mile aur kisī ko rusvāī
mohabbtoṅ ke safar bhī ajīb hote haiṅ

milā kisī ko haiṅ kyā sochiye amīrī se
diloṅ ke śhāh to aksar ġharīb hote haiṅ

yahāṇ ke logoṅ kī haiṅ khāsiyat ye sabse baṛī
habīb lagte haiṅ lekin raqīb hote haiṅ