Ye mausam rangeen samaa

ये मौसम रंगीन समा
Year
Language

ये मौसम रंगीन समा, ठहर ज़रा ओ जान-ए-जां
तेरा मेरा, मेरा तेरा प्यार है, तो फिर कैसा शरमाना
रुक तो मैं जाऊं जान-ए-जां, मुझको है इन्कार कहां
तेरा मेरा, मेरा तेरा प्यार सनम ना बन जाये अफ़साना
ये चाँद ये सितारें, कहते हैं मिल के सारे, आजा प्यार करे
ये चंदा बैरी देखे, ऐसे में बोलो कैसे इक़रार करे
दिल में है कुछ, कुछ कहे जुबां
प्यार यही है जान-ए-जां
ये प्यार की लंबी राहें, कहती हैं ये निगाहें कहीं दूर चले
बैठे हैं घेरा डाले, ये ज़ालिम दुनिया वाले, हमें देख जले
जलता है तो जले जहां
ठहर ज़रा ओ जान-ए-जां

ye mausam raṅgīn samā, ṭhahar zarā o jān-e-jāṅ
terā merā, merā terā pyār hai, to phir kaisā śharmānā
ruk to maiṅ jāūṅ jān-e-jāṅ, mujhko hai inkār kahāṅ
terā merā, merā terā pyār sanam nā ban jāye afsānā
ye chāṇd ye sitāreṅ, kahte haiṅ mil ke sāre, ājā pyār kare
ye chaṅdā bairī dekhe, aise meṅ bolo kaise iqrār kare
dil meṅ hai kuchh, kuchh kahe jubāṅ
pyār yahī hai jān-e-jāṅ
ye pyār kī laṅbī rāheṅ, kahtī haiṅ ye nigāheṅ kahīṅ dūr chale
baiṭhe haiṅ gherā ḍāle, ye zālim duniyā vāle, hameṅ dekh jale
jaltā hai to jale jahāṅ
ṭhahar zarā o jān-e-jāṅ