ये जो जिंदगी की किताब है
ये किताब भी क्या किताब है
कहीं एक हसीन सा ख्वाब है
कहीं जानलेवा अज़ाब है
कहीं छाँव है, कहीं धुप है
कहीं और ही कोई रूप है
कई चेहरे इसमें छुपे हुए
एक अजीब सी ये नकाब है
कहीं खो दिया, कहीं पा लिया
कहीं रो लिया, कहीं गा लिया
कहीं छीन लेती है हर खुशी
कहीं मेहरबान बेहिसाब है
कहीं आसुओं की है दास्तां
कहीं मुस्कुराहटों का बयां
कहीं बरकतों की हैं बारिशें
कहीं तिश्नगी बेहिसाब है
ये जो जिंदगी की किताब है
Work
Year
Language
ye jo jiṅdgī kī kitāb hai
ye kitāb bhī kyā kitāb hai
kahīṅ ek hasīn sā khvāb hai
kahīṅ jānlevā azāb hai
kahīṅ chhāṇv hai, kahīṅ dhup hai
kahīṅ aur hī koī rūp hai
kaī chehre ismeṅ chhupe hue
ek ajīb sī ye nakāb hai
kahīṅ kho diyā, kahīṅ pā liyā
kahīṅ ro liyā, kahīṅ gā liyā
kahīṅ chhīn letī hai har khuśhī
kahīṅ meharbān behisāb hai
kahīṅ āsuoṅ kī hai dāstāṅ
kahīṅ muskurāhṭoṅ kā bayāṅ
kahīṅ baraktoṅ kī haiṅ bāriśheṅ
kahīṅ tiśhngī behisāb hai