Ye aansoo mere dil kee jubaan hai

ये आँसू मेरे दिल की जुबान है
Work
Year
Language

ये आँसू मेरे दिल की ज़ुबान है
मैं रोऊँ तो रो दे आँसू, मैं हस दूँ तो हस दे आँसू

आँख से टपकी जो चिंगारी, हर आँसू में छबी तुम्हारी
चिर के मेरे दिल को देखो, बहते लहू में प्रीत तुम्हारी
ये जीवन जैसे सुलगा तूफान है

जीवन पथ पर जीवन साथी, साथ चले हो मुँह ना मोडो
दर्द-ओ-गम के दोराहे पर, मुझ को तड़पता यूँ ना छोड़ो
ये नग्मा मेरे गम का बयान है

ye āṇsū mere dil kī zubān hai
maiṅ roūṇ to ro de āṇsū, maiṅ has dūṇ to has de āṇsū

āṇkh se ṭapkī jo chiṅgārī, har āṇsū meṅ chhabī tumhārī
chir ke mere dil ko dekho, bahte lahū meṅ prīt tumhārī
ye jīvan jaise sulgā tūphān hai

jīvan path par jīvan sāthī, sāth chale ho muṇh nā moḍo
dard-o-gam ke dorāhe par, mujh ko taṛaptā yūṇ nā chhoṛo
ye nagmā mere gam kā bayān hai