Vo khat ke purze uraa rahaa thaa

वो खत के पुर्ज़े उड़ा रहा था
Work
Year
Language

वो खत के पुर्ज़े उड़ा रहा था
हवाओं का रुख़ दिखा रहा था

कुछ और भी हो गया नुमाया
मैं अपना लिखा मिटा रहा था

उसी का ईमान बदल गया है
कभी जो मेरा खुदा रहा था

वो एक दिन एक अजनबी को
मेरी कहानी सुना रहा था

वो उम्र कम कर रहा था मेरी
मैं साल अपने बढ़ा रहा था

vo khat ke purze uṛā rahā thā
havāoṅ kā rukh dikhā rahā thā

kuchh aur bhī ho gayā numāyā
maiṅ apnā likhā miṭā rahā thā

usī kā īmān badal gayā hai
kabhī jo merā khudā rahā thā

vo ek din ek ajanbī ko
merī kahānī sunā rahā thā

vo umr kam kar rahā thā merī
maiṅ sāl apne baṛhā rahā thā