Vo chaand jaisee ladkee is dil pe chhaa rahee hai

वो चांद जैसी लडकी इस दिल पे छा रही है
Work
Year
Language

वो चांद जैसी लडकी इस दिल पे छा रही है
आँखों के रास्ते से इस दिल में आ रही है

अल्लड सी भोलीभाली मासूम यह शरारत
बदली नहीं है अबतक बचपन की उस की आदत
तडपा रही हैं यादें, हो जाउँ ना मैं पागल
आ जाये सामने वो, यह जान जा रही है

मेरा चांद बादलों में क्यों जा के खो गया है
अब दूर इस कदर वो क्यों मुझ से हो गया है
क्यों जी रहा हूँ तनहा, ये याद भी नहीं है
बस इतना याद है के वो याद आ रही है

vo chāṅd jaisī laḍkī is dil pe chhā rahī hai
āṇkhoṅ ke rāste se is dil meṅ ā rahī hai

allaḍ sī bholībhālī māsūm yah śharārat
badlī nahīṅ hai abtak bachapan kī us kī ādat
taḍpā rahī haiṅ yādeṅ, ho jāuṇ nā maiṅ pāgal
ā jāye sāmne vo, yah jān jā rahī hai

merā chāṅd bādloṅ meṅ kyoṅ jā ke kho gayā hai
ab dūr is kadar vo kyoṅ mujh se ho gayā hai
kyoṅ jī rahā hūṇ tanhā, ye yād bhī nahīṅ hai
bas itnā yād hai ke vo yād ā rahī hai