वक़्त की उम्र क्या बड़ी होगी
इक तेरे वस्ल की घड़ी होगी
दस्तकें दे रही है पलकों पर
कोई बरसात की झड़ी होगी
क्या ख़बर थी के नोक-ए-ख़ंजर भी
फूल की एक पंखड़ी होगी
क्यों गिरह गेसुओं में डाली है
जां किसी फूल की अड़ी होगी
इल्तजा का मलाल क्या कीजे
उनके दर पर कहीं पड़ी होगी
मौत कहते हैं जिसको ऐ 'सागर'
ज़िंदगी की कोई कड़ी होगी
वक़्त की उम्र क्या बड़ी होगी
Work
Year
Language
vaqt kī umr kyā baṛī hogī
ik tere vasl kī ghaṛī hogī
dastkeṅ de rahī hai palkoṅ par
koī barsāt kī jhaṛī hogī
kyā khabar thī ke nok-e-khaṅjar bhī
phūl kī ek paṅkhaṛī hogī
kyoṅ girah gesuoṅ meṅ ḍālī hai
jāṅ kisī phūl kī aṛī hogī
iltjā kā malāl kyā kīje
unke dar par kahīṅ paṛī hogī
maut kahte haiṅ jisko ai 'sāgar'
ziṅdgī kī koī kaṛī hogī