वफा जो तुम से कभी मैने निभाई होती
वफ़ा जो तुमसे कभी मैंने निभाई होती
उम्र ना मुफ़्त में सड़कों पे गवाई होती
साँप यादों के हैं डसते मुझे हर शाम-ओ-सहर
ये जो सोते तो मुझे नींद भी आई होती
तेरी चौखट से जो उस रोज ना आया होता
मैं खुदा होता, दुनियाँ पे खुदाई होती
होती गैरत तो तेरे साथ ही मर जाते सजन
लाश कांधों पे यूँ अपनी ना उठाई होती
हाथ क्या आया मेरे एक सियाही के सिवा
देखने हाल मेरा तू भी तब आई होती
vafā jo tumse kabhī maiṅne nibhāī hotī
umr nā muft meṅ saṛkoṅ pe gavāī hotī
sāṇp yādoṅ ke haiṅ ḍaste mujhe har śhām-o-sahar
ye jo sote to mujhe nīṅd bhī āī hotī
terī chaukhaṭ se jo us roj nā āyā hotā
maiṅ khudā hotā, duniyāṇ pe khudāī hotī
hotī gairat to tere sāth hī mar jāte sajan
lāśh kāṅdhoṅ pe yūṇ apnī nā uṭhāī hotī
hāth kyā āyā mere ek siyāhī ke sivā
dekhne hāl merā tū bhī tab āī hotī