उम्र हुई तुमसे मिले, फिर भी जाने क्यों
ऐसे लगे जैसे पहली बार मिले हैं
उम्र हुई, बाग सजे, फिर भी जाने क्यों
ऐसे लगे फूल पहली बार खिले हैं
रूप जगा यूँ बिन संवारे साजना मैं संवर गई
आज लगा यूँ आज लगा यूँ
मोतियों से मेरी माँग भर गई
कजरा छलके, अचरा ढलके
ऐसे लगे जैसे पहली बार मिले हैं
संग तुम्हारा मेरी ज़िंदगी को रास आ गया
पा के सहारा, पा के सहारा,
दूर था मैं अपने पास आ गया
दुनिया सारी, लागे न्यारी
ऐसे लगे जैसे पहली बार मिले हैं
झूम उठा तन, मन में एक ऐसी बात आ गई
जिसकी थी लगन, जिसकी थी लगन
आज वो मिलन की रात आ गई
अलके लहके, अखियाँ बहके
ऐसे लगे जैसे पहली बार मिले हैं
उम्र हुई तुमसे मिले
Work
Year
Language
umr huī tumse mile, phir bhī jāne kyoṅ
aise lage jaise pahlī bār mile haiṅ
umr huī, bāg saje, phir bhī jāne kyoṅ
aise lage phūl pahlī bār khile haiṅ
rūp jagā yūṇ bin saṅvāre sājnā maiṅ saṅvar gaī
āj lagā yūṇ āj lagā yūṇ
motiyoṅ se merī māṇg bhar gaī
kajrā chhalke, achrā ḍhalke
aise lage jaise pahlī bār mile haiṅ
saṅg tumhārā merī ziṅdgī ko rās ā gayā
pā ke sahārā, pā ke sahārā,
dūr thā maiṅ apne pās ā gayā
duniyā sārī, lāge nyārī
aise lage jaise pahlī bār mile haiṅ
jhūm uṭhā tan, man meṅ ek aisī bāt ā gaī
jiskī thī lagan, jiskī thī lagan
āj vo milan kī rāt ā gaī
alke lahke, akhiyāṇ bahke
aise lage jaise pahlī bār mile haiṅ