Tum to pyaar ho, sajnaa

तुम तो प्यार हो, सजना
Work
Year
Language

तुम तो प्यार हो, सजना
मुझे तुम से प्यारा और ना कोई

तुम तो प्यार हो, सजनी
मुझे तुम से प्यारा और ना कोई

कितना है प्यार हमसे इतना बता दो
अंबर पे तारें जितने, इतना समझ लो
सच ? मेरी कसम ?
तेरी कसम तेरी याद मुझे लूटे
कसमे तो खानेवाले होते हैं झूठे
चलो जाओ, हटो जाओ, दिल का दामन छोड़ो

आ के ना जाये कभी, ऐसी बहार हो
तुम भी हमारे लिए जीवन सिंगार हो
सच ? मेरी कसम ?
तेरी कसम तू है आँख के तिल में
तुम भी छूपी हो मेरे शीशा-ए-दिल में
मेरे हमदम मेरी बात तो मानो

tum to pyār ho, sajnā
mujhe tum se pyārā aur nā koī

tum to pyār ho, sajnī
mujhe tum se pyārā aur nā koī

kitnā hai pyār hamse itnā batā do
aṅbar pe tāreṅ jitne, itnā samajh lo
sach ? merī kasam ?
terī kasam terī yād mujhe lūṭe
kasme to khānevāle hote haiṅ jhūṭhe
chalo jāo, haṭo jāo, dil kā dāman chhoṛo

ā ke nā jāye kabhī, aisī bahār ho
tum bhī hamāre lie jīvan siṅgār ho
sach ? merī kasam ?
terī kasam tū hai āṇkh ke til meṅ
tum bhī chhūpī ho mere śhīśhā-e-dil meṅ
mere hamdam merī bāt to māno