तूटे हुए ख़ाबों के लिये आँख ये तर क्यूँ
टूटे हुए ख़ाबों के लिये आँख ये तर क्यूँ
सोचो तो सही शाम है अंजाम-ए-सहर क्यूँ
जो ताज सजाए हुए फिरता हो अनोखा
हालात के क़दमों पे झुकेगा वही सर क्यूँ
सिलते हैं तो सिल जाएं किसे फ़िक़्र लबों की
ख़ुश-रंग अँधेरों को कहूँगा मैं सहर क्यूँ
सोचा किया मैं हिज्र की दहलीज पे बैठा
सदियों में उतर जाता है लम्हों का सफ़र क्यूँ
हरजाई है 'शहज़ाद्' ये तस्लें य पजाना
सोचा भी कभी तुमने हुआ ऐसा मग क्यूँ
ṭūṭe hue khāboṅ ke liye āṇkh ye tar kyūṇ
socho to sahī śhām hai aṅjām-e-sahar kyūṇ
jo tāj sajāe hue phirtā ho anokhā
hālāt ke qadmoṅ pe jhukegā vahī sar kyūṇ
silte haiṅ to sil jāeṅ kise fiqr laboṅ kī
khuśh-raṅg aṇdheroṅ ko kahūṇgā maiṅ sahar kyūṇ
sochā kiyā maiṅ hijr kī dahlīj pe baiṭhā
sadiyoṅ meṅ utar jātā hai lamhoṅ kā safar kyūṇ
harjāī hai 'śhahazād' ye tasleṅ ya pajānā
sochā bhī kabhī tumne huā aisā mag kyūṇ