Tinkaa tinkaa zaraa zaraa

तिनका तिनका ज़रा ज़रा
Work
Year
Language

तिनका तिनका ज़रा ज़रा
है रोशनी से जैसे भरा
हर दिल मैं अरमान होते तो है
बस कोई समझे ज़रा
दिल पे एक नया सा नशा छा गया
खो रहा था जो ख्वाब वो लौट आ गया
यह जो एहसास है जो करार है
क्या इसी का ही नाम प्यार है
पूछे दिल थम के ज़रा
तिनका तिनका ज़रा ज़रा
है रोशनी से जैसे भरा
हर दिल मैं अरमान होते तो है
बस कोई समझे ज़रा

tinkā tinkā zarā zarā
hai rośhnī se jaise bharā
har dil maiṅ armān hote to hai
bas koī samjhe zarā
dil pe ek nayā sā naśhā chhā gayā
kho rahā thā jo khvāb vo lauṭ ā gayā
yah jo ehsās hai jo karār hai
kyā isī kā hī nām pyār hai
pūchhe dil tham ke zarā
tinkā tinkā zarā zarā
hai rośhnī se jaise bharā
har dil maiṅ armān hote to hai
bas koī samjhe zarā