Tim tim karte taare, ye kahte hain saare

टिम टिम करते तारे, ये कहते हैं सारे
Year
Language

टिम टिम करते तारे, ये कहते हैं सारे
सो जा तोहे सपनों में निंदिया पुकारे

सपनों के देश का चंदामामा राजा
बुला रहा है बजा बजा के सात सुरों का बाजा
चोरी चोरी खिड़की से करें ये इशारे

रंग बिरंगी परियां तुझे झूले में झुलाएंगी
बिल्ली तोता मैना की कहानी भी सुनाएंगी
अच्छे अच्छे तुझे खिलौने देंगी प्यारे प्यारे

बादलों की पालकी में मुन्ने को बिठाके
चंदा मामा सारा जग लाएगा घूमा के
लौट के आये शान से मेरा राजा मेरे द्वारे

ṭim ṭim karte tāre, ye kahte haiṅ sāre
so jā tohe sapnoṅ meṅ niṅdiyā pukāre

sapnoṅ ke deśh kā chaṅdāmāmā rājā
bulā rahā hai bajā bajā ke sāt suroṅ kā bājā
chorī chorī khiṛkī se kareṅ ye iśhāre

raṅg biraṅgī pariyāṅ tujhe jhūle meṅ jhulāeṅgī
billī totā mainā kī kahānī bhī sunāeṅgī
achchhe achchhe tujhe khilaune deṅgī pyāre pyāre

bādloṅ kī pālkī meṅ munne ko biṭhāke
chaṅdā māmā sārā jag lāegā ghūmā ke
lauṭ ke āye śhān se merā rājā mere dvāre