तेरी दुनिया से हो के मजबूर चला
तेरी दुनिया से हो के मजबूर चला
मैं बहोत दूर, बहोत दूर, बहोत दूर चला
इस कदर दूर के फिर लौट की भी आ ना सकूँ
ऐसी मंज़िल की जहाँ खुद को भी मैं पा ना सकूँ
और मजबूरी है क्या इतना भी बतला ना सकूँ
आँख भर आई अगर अश्कों को मैं पी लूँगा
आह निकली जो कभी होठों को मैं सी लूँगा
तुझ से वादा है किया इसलिए मैं जी लूँगा
खुश रहे तू है जहाँ, ले जा दुआएं मेरी
तेरी राहों से जुदा हो गई राहें मेरी
कुछ नहीं साथ मेरे, बस हैं खताएं मेरी
terī duniyā se ho ke majbūr chalā
maiṅ bahot dūr, bahot dūr, bahot dūr chalā
is kadar dūr ke phir lauṭ kī bhī ā nā sakūṇ
aisī maṅzil kī jahāṇ khud ko bhī maiṅ pā nā sakūṇ
aur majbūrī hai kyā itnā bhī batlā nā sakūṇ
āṇkh bhar āī agar aśhkoṅ ko maiṅ pī lūṇgā
āh niklī jo kabhī hoṭhoṅ ko maiṅ sī lūṇgā
tujh se vādā hai kiyā islie maiṅ jī lūṇgā
khuśh rahe tū hai jahāṇ, le jā duāeṅ merī
terī rāhoṅ se judā ho gaī rāheṅ merī
kuchh nahīṅ sāth mere, bas haiṅ khatāeṅ merī