Tere lie palkon kee jhaalar bunoo

तेरे लिए पलकों की झालर बुनू
Work
Year
Language

तेरे लिए पलकों की झालर बुनू
कलियों सा गजरे में बाँधे फिरू
धूप लगे जहा तुझे छाया बनू, आजा साजना
महकी महकी ये रात है
बहकी बहकी हर बात है
लाजो मरू, झूमे जिया, कैसे ये मैं कहू, आजा साजना
नया नया संसार है,
तू ही मेरा घर बार है
जैसा रखे खुशी खुशी, वैसे ही मैं रहू, आजा साजना
प्यार मेरा, तेरी जीत है
सबसे अच्छा मेरा मीत है
तेरे लिए रोऊं पिया, तेरे लिए हंसू, आजा साजना

tere lie palkoṅ kī jhālar bunū
kaliyoṅ sā gajre meṅ bāṇdhe phirū
dhūp lage jahā tujhe chhāyā banū, ājā sājnā
mahkī mahkī ye rāt hai
bahkī bahkī har bāt hai
lājo marū, jhūme jiyā, kaise ye maiṅ kahū, ājā sājnā
nayā nayā saṅsār hai,
tū hī merā ghar bār hai
jaisā rakhe khuśhī khuśhī, vaise hī maiṅ rahū, ājā sājnā
pyār merā, terī jīt hai
sabse achchhā merā mīt hai
tere lie roūṅ piyā, tere lie haṅsū, ājā sājnā